Quantcast
Channel: LyricsBogie
Viewing all articles
Browse latest Browse all 5023

Haseenon Ka Deedar Karna

$
0
0

Bade haseen hai sar ko jukaye baithe hai
Laga ke aag ye daaman bachaye baithe hai
Mera bas chale to hazaaron mein keh doon
Hoy mera bas chale to hazaaron mein keh doon
Haseenon ka deedar karna bura hai
Haseenon ka deedar karna bura hai

Agar husn chehare se parda hata de
To jalwon se inkaar karna bura hai
To jalwon se inkaar karna bura hai
Mera bas chale to hazaaron mein keh doon
Haseenon ka deedar karna bura hai
Haseenon ka deedar karna bura hai

Kya bayaan kijiye haseenon ka
Naazwalo ka mehzabino ka
Humne to inko dekha bhala hai
Kaali zulfe hai dil bhi kaala hai
Inke fande mein jo bhi aata hai
Haaye bemoat maara jaata hai
Kahaan tak koi apne dil ko sambhale
Khuda inki chalo se hum ko bachale
Are ghazab ghazab naazo andaaz inke
Yahaan koi ikraar karna bura hai
Yahaan koi ikraar karna bura hai

Agar husn chehare se parda hata de
To jalwon se inkaar karna bura hai
To jalwon se inkaar karna bura hai

Inki shola bayaani haaye toba
Inki jalti nishaani haaye toba
Yun to kehne ko bhole bhale hai
Aastino mein saann paale hai
Inke fando mein jo bhi aata hai
Sar patakta hai tilmilata hai

Uljhi unhi se inki baatein
Kis kayamat ki ill gaati hai
Hasate hai danto mein ulja ke humko
Kabhi inse takraar karna bura hai
Kabhi inse takraar karna bura hai
Mera bas chale to hazaaron mein keh doon
Haseenon ka deedar karna bura hai
Haseenon ka deedar karna bura hai

Pyaari soorat pe unki na jaana
Yeh bana baith te hai deewana
Hai ye jallad ye sitamgar hai
Inke shine pe haaye patthar hai
In bhooto ke fareb mein na aana
Sar ko hai pattharon se takrana

Kahan tak hum inka fasana sunaye
Are kahan tak bhala chot par chot khaye
Khuda ki kasam in haseenon ke aage
Mohabbat ka izhaar karna bura hai
Mohabbat ka izhaar karna bura hai

Agar husn chehare se parda hata de
To jalwon se inkaar karna bura hai
To jalwon se inkaar karna bura hai

Hum pe muskil sitam ye karte hai
Iss tarah se to rab ye karte hai
Baat hoti hai jab kayamat ki
Ye humara hi naam lete hai
Har tarike se humko kaste hai
Dil ki baate karke humko daste hai

Humein apna daaman bachana padega
Ke parde pe parda girana padega
Samajte nahi ye wafadaario ko
Yahaan bhul kar pyaar karna bura hai
Yahaan bhul kar pyaar karna bura hai
Mera bas chale to hazaaron mein keh doon
Haseenon ka deedar karna bura hai
Haseenon ka deedar karna bura hai

Agar husn chehare se parda hata de
To jalwon se inkaar karna bura hai
To jalwon se inkaar karna bura hai.

The post Haseenon Ka Deedar Karna appeared first on Latest Hindi Songs Lyrics | Hindi Movie Song Lyrics | LyricsBogie.


Viewing all articles
Browse latest Browse all 5023

Trending Articles