Quantcast
Channel: LyricsBogie
Viewing all articles
Browse latest Browse all 5023

Chaunk Kar Neend Se

$
0
0

Chaunk kar neend se
Uthakar main baith jaata hoon
Chaunk kar neend se
Uthakar main baith jaata hoon
Khwaab mein jab kabhi
Bechain tumko paata hoon
Khwaab mein jab kabhi
Bechain tumko paata hoon
Chaunk kar neend se
Uthakar main baith jaata hoon

Tum to kehate the ke tum khush ho
Bichhad kar mujhse
Aakhari baar mile the yahi keha kar mujhse
Aaj mehsoos huaa hain ke galat hain humdam
Kya hain sachchai bata do hain tumhen meri kasam
Phir na puchhunga koi baat kasam khata hoon
Chaunk kar neend se
Uthakar main baith jaata hoon

Saath beete huye lamho ki nishani bankar
Tum bichhad kar bhi ho
Iin aankhon mein paani bankar
Tum zamane ki nigaho mein juda laakh sahin
Tum ho samil meri nas nas mein ravaani ban kar
Jo haqikat hain mere dil ki main bata ta hoon
Chaunk kar neend se
Uthakar main baith jaata hoon

Baat bigadi huyi chaho to bana lo phir se
Dil ki raaho ne nai shamma jalalo phir se
Hum tumhare the tumhare hain karo mera yakeen
Aasmaan chaand sitaare tumhi ho meri zameen
Apni dhadkan mein tumhari hi sadda paata hoon
Chaunk kar neend se
Uthakar main baith jaata hoon
Khwaab mein jab kabhi
Bechain tumko paata hoon
Chaunk kar neend se
Uthakar main baith jaata hoon.

The post Chaunk Kar Neend Se appeared first on Latest Hindi Songs Lyrics | Hindi Movie Song Lyrics | LyricsBogie.


Viewing all articles
Browse latest Browse all 5023

Trending Articles